Roamantic Shayari


You may well appreciate how dull this life would be without romance. This romance could be for anything the images of nature, or those aspects related with human relationship. Life Confronts us with its strack realities and we seek our redmeption through romance with variuos objects of life. Hre you have different facets of romance drawn from diverse mainfestations of life.

hans ke farmaate hain wo dekh ke haalat meri 
kyun tum aasan samjhte the mohabbat meri

kisi sabab se agar bolta nahin hun main
to yun nahin ki tujhe sochta nahin hun main

tum mita sakte nhi dil se mera naam kabhi
phir kitabo se mitane ki jarurat kya hai

ye rupahli chanw ye aakash par taaron ka jaal
jaise aashiq ka khayal aah lekin kaun jaane
kaun samjhe jee ka haal ai gham e dil 
kya karun ai wahshat e dil kya karun

tumhaare shahr ka mausam bada suhana lage
mai ek sham chura lu agar bura na lage

dil dhadakane ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya

shadeed pyaas thi phir bhi chhua na paani ko
main dekhta raha dariya teri ravaani ko

ilaaj apna karaate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho na, mohabbat kyu nhi karte

ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do
naa jane kis gale mein zindagi ki shaam ho jaye

tum phir usi aada se agdaai le ke has do
aa jayega palat kar gujarahua jamana

tum se milti julti main aawaaz kaha se launga
taaj mahal ban jaye agar mumtag kaha se launga

dil me kisi ke raah kiye jaa raha hu mai
kitna hasi gunaah  kiye jaa raha hu mai

patthat mujhe kahta hai mera chahne wala
mai mom huu us ne mujhe chuu kar dekh nhi

ek chehara hai jo aakhon me basa rahta hai
is tasbuur hai jo tanha nhi hone deta

ajeej itna hi rakho ki ji sabhal jaye
ab is kadar bhi na chaho ki dam nikal jaye

dil me kisi ki raah kiye jaa raha hu mai
kitna hasi gunah kiye jaa raha hu mai

dil dhadakne ka sabab yaad aaya 
vo teri yaad thi ab yaad aaya

dil ki choti ne kabhi chain se rahne na diya
jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya

tum phir usi aada se angdai le ke has do
aajayegaa palat kar gujra hua jamana


Popular Posts