Ek Sukoon Sa Milta hai Jab Tum Pass Hote Ho

Akele chor do mujhe ya mere ho jao yun mujhe
acha nahi lagta kabhi paana kabhi khona

Dur hu tujhse teri khushi ke liye
ye mat samajhna dil dukhta nahi mera

darti hu aapke thoda sa bhi naraaz hone par kyuki 
is badi si duniya mein aapke siwa koi aur nahi hai mera

Qadar kar lo unki jo tumse bina matlab ki chahat rakhte hai
kyuki duniya mein khayal rakhne wale kam aur taqleef dene wale zyada hai

har safar mein sath chal dungi lekin shart ye hai
ke mere haath tere haath mein hoga 

jo aapko mushkil se mushkil waqt me sath de wo
apka saath kabhi nahi chor sakta

ek sukoon sa milta hai jab tum pass hote ho

kuch log jatate nahi
lekin parwaah bohot karte hai

jo aaj aapka hai jaruri nhi kal bhi aapke pass rahe
isliye jo mila hai uski kadar karna sikho

kya karu sikwa gila ki tu mera nahi hua
jo kuch pal bhi bite tere sang us aadhuri jindagi se hi mai mukamal ho gaya

sab kuch mil jata hai is duniya me
shirf vo shaks nhi milta jisse mohabbat ho

humne to mohabbat chod di lekin
mohabbat ne humko kahi na na choda

irada katl ka tha to mera sar kalam kar dete
kyu ishq me dal kar tune har sas par maut likh di

chura leta hu najare tumse dur bhagane ke liye
lekin sayad inko bhi nhi pata band hokar bhi tumhse hi milti hai

khuda na kare dur hona pade tumse
suna hai ji nhi pata koi jaan se bichad jane ke baad

tu mujhse mere gunaaho ka hisaab n maag mere khuda
meri takdeer likhne me kalam to teri hi chali thi

tujhe dusaro se baat karte dekha to bahut dukh hua
phir yaad aaya ki hum kon sa tere apne hai

jis khvaab me ho jaye didar e pyaar haasil
ye ishq kabhi humko bhi vo need sula de

tum to kahte the har sham tera haal pucha karege
tum badal gaye ho ya tumhare shahr me sham nhi hoti

jina to padegaa shirf duniya ko dikhane ke liye
warna humne kab chahi thi uske bina jindagi

ab maut ke kah do humse narajagi khatm kar de
vo bahut badal gaya jiske liye hum jinda the

vo log aate hi kyu hai jindagi me
bichadana hota hai jinko kisi bhi bahane se

ab sikayat tujhse nhi khud se hai
mana ki sare jhut tere the par us par yakeen to mera tha

apni jindagi me sako ahamiyat deti huu kyuki
jo achhe hoge vo saath dege jo bure hoge vo sabak dege

Popular Posts