Jee Nahi Lagta Tere Bina

tum ajnabi the to roz yaad karte the
tumhe apne hone ka ehsaas dilaya to yaad karna hi chor diya

sach bataiyega kya aap bhi
apni mohabbat haar baithe hain

tu saath hai to phir kya kami hai teri har
muskan se milti mujhe khushi hai

mai kya kahu us se ki mujhse baat kare
kya use maloom nhi ki uske bina mera maan nhi lagta

aaj kal ke relationship mein aisa hi hota hai ek baat karne ke liye tadap 
raha hota hai aur dusare ko uski fikar tak nahi hoti

kisi ko dhoka dene se pehle ek baar zaroor soch lena
ke agar koi tumhare sath bhi aisa kare to kya tum seh paaoge

todhna hi tha to saanse todh kar jaate
yun dil todh kar jaane se kya mila

gf to bohot choti si cheez hai
tu to jaan hai meri jaan

jo mann kiye tumhara wo kiya karo 
bas sote waqt mujhse ek baar baat kiya karo

na kisi ki khwahish hai aur na kisi par marta hu
tere bina jee nahi sakta tujhse itna pyaar karta hu

pata nahi tujhe yakeen kyun nahi aata
mera dil tere siwa aur ko nahi chahta

juda hogye to kya hogaya saath reh  kar
bhi kaunsa saath the hum

mujhe zindagi ka khubsuart muqaam chahiye
mere surname ke sath tera naam chahiye

dil ki dhadkan ban kar dil mein rahogi tum
jab tak saans hai mere dil mein rahogi tum

mujhe nahi chahiye koi bhi azaadi
bas tumhare dilmein umar qaid hona hai

jee nahi lagta tere bina 
tere jaane se dil toot sa gaya hai

saath rah wahi kaafi hai mujhe aur kuch nahi
chahiye mohabbat mein

agar main tumhara ho jaau to aur
kuch chahiye tumhe zindagi se

Popular Posts