Use Dekha Jo Aaj Laal Jode Me

USe dekha ji aaj laal jode me to ankh meri bhi laal ho gayi
kabhi hardam jo jagi rahti thi mohabbat uski na jane kahan ja ke so gayi

uska pati tha sath uske usne waise hi uska hath pakad rakha tha
uski gori kalai ko jaise kabhi maine apne majboot hathon me jakad rakha tha

ek waqt tha jab kisi ki najar bhi us par pad jaye to main sah na pata tha
aaj kasmosh khada raha use uske pati ke sath dekh kar 
jiske bina ek pal bhi mai reh na pata tha

ye sapne mere the magar wo kisi aur ke sath mil kar
unhe pura kar rahi hai kabhi jo sar a bazar pakadti thi
hath mera aaj mujhe dekhne tak se dar rahi hai

ajeeb hain ye duniya ke dastoor bhi bhala inhe kaise badla ja sakta hai
koi mujhe bhi to bataye ki koi kaise apne dil ko itni asani se samjha sakta hai

mai aaj tak bhool na paya use mera sab kuch chheen liya tha
dil se nikalate huye badi asani se usne hame beghar kiya tha

wo lal joda aur hatho me mehndi racha kar kayamat dha rahi thi
kabhi mera chehara dekha kar sukoon se bhar jata tha man jiska
aaj wahi mujhe dekh kar ghabra rahi thi

ek baat zaroor hai ki uske hath me kangan aur uske mathe pe sindur
jachta bahut hai hai isi liye wo itni khusi sayad 
uska pati us par lakhon kharchta bahut hai

wo bhi din the kabhi jab mujhe dekhne bina uski subah na hua karti thi
jaise mujh par koi kharonch na aajaye itna pyaar se wo mujhe chhua karti thi

magar ab aise guzar jati hai mere samne se jaise mujhe kabhi usne dekha hi na ho
aaj sayad mera naam bhi bhool gayi hogi kabhi mujhe apni jaan kaha karti thi jo

uske pati ne use kis kis tarah se aur kahan kahan chhua hoga ye soch kar kabhi
kabhi dil bahut jalta hai magar kya karen ye dukh to ashiqon
ki kismat ka hisa hai itna to chalta hai

magar usse kah dena ki mujh jitna pyaar koi use nahi kar sakta
jee to sabhi sakte hain uske sath magar meri tarah koi uske liye mar nahi sakta

Popular Posts