Tu Zindagi Hai Meri

प्यार तो सभी करते है 
आओ हम दोनों शादी करते है 
aise achha lagta hai tera naam mere naam ke saath
jaise koi khubsurat subah judi ho haseen sham ke sath

jise dar hi nahi tha mujhe khone ka
use kya afsos hoga mere na hone ka 

tumse kitni mohabbat hai malum nahi
mujhe log aaj bhi teri kasam de kar mana lete hai

tum meri zidd nahi jo puri ho
tum meri khwahish ho jo zaruri ho

nahi hai wo maza duniya ke kisi bhi kone mein
jo maza hai apne babu ko hug karke sone mein

pyaar ka rishta itna mazboot hona chahiye ki
kisi teesre insaan ki wajah se na toote

baarish mein to hum bas usi din bhigenge
jis din tu hamare saath hoga

ek khasiyat hai mohabbat ki ki jitni sachhi
hoti hai utna hi zyada rulati bhi hai 

mere dil mein ek dhadkan hai teri 
us dhadkan ki kasam tu zindagi hai meri

Aur kuch chahiye hi nahi mujhe kismat se
Agar kismat mujhe tumhara saath de de

kabhi kabhi sochte hai ki mar hi jayen
suna hai bohot yaad karte hai log mar jane ke baad

Pyaar wo nahi hai jo duniya ko dikhaya jaye
pyaar to wo hai jo sachhe dil se nibhaya jaye

saath chorne walo ko to bas ek bahana chahiye
warna nibhane wale to maut tak saath nibhate hai

kuch log isliye bhi pyaar ka izhaar nhi kar pate
ki kahi wo apni dosti bhi kho na de

aaj nhi to kal use ehsaas ho hi jayegaa
ki naseeb ko hi milte hai qadar karne wale

ek baat to sach hai ki jisse hum dil se pyaar
karlete hai na uske bhav badh jate hai

insaan ki fitrat hai ye ki use chizon ki qadar bas do 
hi baar hoti hai milne se pahle aur khone ke baad

pyaar to sabhi karte hai 
aao hum dono shadi karte hai

Popular Posts