Marke Bhi Wada Na Todenge

Hum Marke bhi na wada apna todenge
Ek dusare ka sath kabhi nahi chorenge
tere hi khayal pe khatam huaa ye saal
teri hi khowaish se shuru hoga naya saal

socha hi nahi tha jindagi me aise bhi fasane 
hone rona bhi jaruri hoga aur aashu bhi chhupaane honge

dilo ki khot hai jubaan se pyaar karte hai
bahut se log duniya me yahi vyaapar karte hai

bahut der kar di bachane me mujhe
mai to uspar kab ka mar chuka huu

alfajo se kya baya karu apni mohabbat ke afsane
hamaare dil me to wo hi wo aur uske dil ki khuda jaane

chalo so jaate hai ab phir kisi sach ki talash me
subah phir se jhuthi duniya ka didarjo karna hai

mujh se maahir tera ishq hai tujhse maahir mera ishq hai
ijhaar tere wash me nahi intjaar mere wash me nahi

baithe baithe fekh diya hai aatishdan me kya kya kuch
mausham itna sard nahi hai jitni aag jalaai hai

agar yakeen na ho to bichad kar dekh lo
tum miloge sabse magar hamari hi talash me 

khushi kaha hum to gum chahte hai
khushi use de maula jise hum chahte hai

chehare ki hasi ko dil ki khushi samjh lete hai log
kash kuch pal rukkar kisi ne dil ka haal bhi samjha hota

Popular Posts