Kuch rishton ke naam nahi hote
magar wo humare liye sabse khass hote hai
ghar chota ho ya bada ho koi fark nhi padta
lekin ghar ka mauhal jarur achha hona chahiye
jitna bada spna hoga utni badi taklife hogi
aur jitni badi taklife hogi utni badi kaamyabi hogi
aisa insaan kismat se milta hai jo
humare har tarah ke mood ko sambhal sake
jo insaan aaj aapko bohot hasa raha hai na
dekh lena kal wahi aapko sabse gehra dard deke chala jayega
jitna dhadkan bhi nahi hai mere dil ke utne pass
ho tum mere liye meri zindagi ho tum
kya aapko koi aisa insaan mila hai
jise aa jane se aapki duniya hi badal gayi ho
zindagi ki haqeeqat ko bas itna hi jana hai har ghum mein
hum akele hai aur khushiyon mein zamana hai
kaash apni zindagi mein bhi aisi shaam ho
jo bas sanam tere mere naam ho
kisi ne sach hi kaha tha akele jeena sikh lo
mohabbat kitni bhi sachhi kyu na ho saath chor hi jaati hai
tum pucha karte the na ki kitni mohabbat
karte hai lo gin lo aaj baarish ki ye boondein
khyal rakha karo apna kyuki
mere pass tum jaisa aur koi nahi
maine wo khoya jo mera tha hi nahi
usne wo khoya jo bas usika tha
tumhari har shararat par pyaar aata hai
na jane kitni mohabbat ho gayi hai tumse
jab jab bhi kisi ko chahne ko sawal aaya hai
dil ko bas tera hi khyaal aaya hai
bas ek shaqs ere dil ki zidd hai
na uske siwa koi chahiye na uske alawa
mat jeeyo unke liye jo duniya ke liye khubsurat hai
jo unke liye jo aapki duniya khusurat banate hai
bohot shikayatein jod karrakhi thi maine
tune gale lagake sara hisab bigad diya
tum bhi ayene ki tarah hi nikle
jo bhi samne aaya usi ke ho gaye
na jane kyu tujhe dekhne ke baad bhi
tujhe hi dekhne ki chahat rehti hai meri